Hi Friends, Welcome to my Website Hindi Tech Word. & My Name is Sameer
Ali Aaj ke is article me main aapko Top 15 ANDROID Tips and tricks
bataunga dosto aajkal Android phone to sabke pas hai lekin iske kuch features
logo ko abhi bhi nahi malum hai isliye maine ye article likha jisase aapko in
features ke bare me jankari mile or aap apne android phone ko achi tarah se
istemaal kare. Dosto me ye sochta hu ki mere website par jab bhi koi visitor
aaye to vo kuch na kuch naya sikh kar jaye.
Dosto aaj android phones ne itni popularity
hasil kar li hai ki agar ham android phones ko mini computer kahe to ye galat
nahi hoga kyonki android system itne kam samay me itna jayada develope ho gaya
hai ki ham iska andaja bhi nahi laga sakte dosto aaj ka mera ye article bhi
aisa hi hai jisase aap apne android phone ke features ko achi tarah samajh payenge
to chaliye dosto ab me aapko vo top 15 tricks batata hu.
1. Android Tips – Android phones ki
battery Life kaise badhaye ?
Dosto battery khatam hone ki problem to har
android phone me aam bat hai isiliye kai logo ne is problem se chutkara pane ke
liye power bank ka use karna shuru kar diya hai lekin agar aapke pas power bank
nahi hai to aap Google playstore se Battery Doctor (Power Saver) app download kar lijiye.
Dosto kabhi-kabhi hamare phone ke
kuch apps apne aap chalte rahte hai or us se hamare phone ki battery bahut
jaldi khatm ho jati hai Battery Doctor (Power Saver) app dusre apps
ko chalne se rok deta hai or aapke phone ki battery save rahti hai.
2. Android Tips – Android phones ke storage space ko
increase kaise kare ?
Dosto agar aapke phone memory
ka storage kam hai or jayada files hone ke karan uska space full ho gaya hai to
aap sochte honge ki aisa kya karu ki mujhe kuch delete bhi na karna pade or
space bhi free ho jaye dosto ye trick use karke aap aisa bhi kar sakyte hai bas
aapko mere bataye instructions follow karne hai.
1. Sabse pahle apne android phone me File
Manager open kare.
2. Ab Android name ke folder ko search kare or
delete kar de.
Dosto aapko sirf Android folder delete karna
hai dhyan rahe koi or folder delete na ho.
3. Android Tips – Android
phone ke hang hone par kya kare ?
Dosto agar aapka Android phone bar-bar hang
hota hai to aap is trick ke jariye is problem ko solve kar sakte hai.
Doto Jap aap apne phone me kuch apps ko ek
sath use kar rahe hote hai to aapka phone hang hone lagta ise rokne ke liye
aapko sabhi apps ko close karna hai or task manager me jakar clear Ram ke
option par click karna hai or iske baad aapka phone hang hona band ho jayega.
4. Android Tips – Android phone ko Tv
remote kaise banaye ?
Dosto aapme se bahut kam log jante honge ki
aap apne Android phone ko Tv ke remote ki tarah bhi use kar sakte ho lekin iske
liye aapko Android Tv Remote control app down load karna hoga is app se aap
apne tv ko puri tarah se control kar payenge lekin ye feature sirf kuch mehenge
tv me hi supported hai.
5. Android Tips – Android phone me secret
Files kaise banaye ?
Dosto hamre phone me bahut si aisi Files hoti
hai jinhe ham hide kar kr rakhna chahte hai taki jab hamara phone koi dusra
vyakti use kare to vo un Files ko dekh na paye aapko Google playstore par bahut
se aise apps mil jayenge jisase aap apne personal Files ko hide kar sakte hai
lekin dosto main aapko aisi trick batane jar aha hu jise use karke aap bina koi
app download kiye apne secret Files ko Hide kar payenge.
Agar aap kisi file ko hide karna chahte hai to
aapko usko Rename karna hoga jaise ek file hai jiska name Personal
hai to aap uska rename “.Personal” karke save kar
dijiye vo aapke phone me hide ho jayega or jab aapko is File ko dekhna ho to
aap File Manager me jakar show hidden Files ke
option par click karke ise dekh sakte hai.
6. Android Tips – Androd phones ki screen
ka video kaise record kare ?
Dosto is trick se aap apne phone ke screen ko
Record kar sakte ho jaise ki aap apne phone me koi game khel rahe ho or aap
chahte ho ki uski ek video ban jaye jise aap kabhi bhi dekh sake to ye trick
aapke kaam aa sakti hai aapko sirf playstore se DU Recorder app
download karke apne phone me install karna hai or is app se aap bahut asaani se
apne phone ki screen ka video record kar sakte hai. Dosto kuch log iska use
karke apps tutorial video banate hai or youtube par upload karke paise bhi
kamate hai.
7. Android Tips – Android phones me image
ka size kaise kam kare ?
Dosto aapne kai bar dekha hoga ki jab ham apne
phone se koi photo khichte hai to uska size 2mb-5mb tak hota hai jisase hamare
phone ka storage bahut jaldi full ho jata hai ye problem android phones me
bahut aam hai lekin agar aapko apne photos ka size 300kb-400kb tak karna hai to
ye trick aapke liye bahut usefull hai.
Sabse pahle aapko apna camera open karke uski
setting me jana hai or Resolution ke option ko select karke use kam karna hai
lekin aap Resolution jyada kam bhi na kare kyonki isase aapke photo ki quality
bhi kam ho jayegi.
8. Android Tips – Android phone ki Ram
kaise badhaye ?
Dosto aajkal Google play store par bahut
ache-ache games aa rahe hai lekin unhe apne phone me install karne ke liye
hamare phone ka Ram bhi jyada hona chahiye is trick me main aapko ek aisa
tarika bata raha hu jisase aapke phone ka Ram badh jayega.
Dosto sabse pahle aap apne phone me Google
playstore se RamExpander app install kariye or is app ki help se
apne phone ki Ram badhaiye or high Quailty ke Games kheliye.
9. Android Tips – Android
phone me Recycle Bin kaise use kare ?
Dosto Recycle bin software
aapne jyadatar windows me dekha hoga lekin ab developers ne iska size chota kar
diya taki android phones me bhi iska istemaal kiya ja sake.
Dosto kabhi-kabhi ham apne phone se koi
important file galti se delete kar dete hai to vo file hamesha ke liye erase ho
jati hai or ham use dobara nahi pa sakte lekin agar aapke phone me Recycle Bin
to vo file delete hokar Recycle bin me save ho jayegi or aap jarurat padne par
use dobara pa sakte ho ye app aapko Google playstore par mil jayegi.
10. Android Tips – Android
phone se wifi kaise hack kare ?
Dosto agar aap apne phone se kisi ka wifi hack
karna chahte hai to ye trick aapke bahut kam ayega or is trick ko use karke aap
apne phone me wifi se free internet chala sakte hai lekin iske liye aapko wifi Hacker professional app download karna hoga.dosto ye app 100% work karta hai or
ise kai countries ne Ban bhi kar diya hai.
11. Android Tips
– Google Playstore se Paid Apps ko Free me Kaise Download kare ?
Agar aap Google Playstore se kisi paid app ko
free me download karna chahte hai to ye trick aapke liye bahut usefull sabit
hogi. Paid apps free me download karne ke liye
aapko BlackmartApp apne phone me install karna hoga or iski help se
aap kisi bhi paid app ko free me download kar sakte ho.
Is app ko use karne ke bare me hamne apni post
me detail se bataya hai us post ko padhne ke liye Niche diye link par click
kare.
12. Android Tips – Mobile ko
wireless Mouse and Keyboard kaise banaye ?
Is trick ki help se aap apne Android phone ko
wireless Mouse and Keyboard banakar use kar sakte ho.
Dosto kabhi-kabhi hamare computer/Laptop ka
Keyboard ya Mouse kharab ho jata hai to is trick ko use karke aap is problem ko
solve kar sakte ho iske liye aapko Remote Mouse App apne phone me install
karna hoga.
Is app ko use karne ka tarika ham ne apni
dusre post me bataya hai us post ko padhne ke liye niche diye link par click
kare.
13. Android Tips – Android Phone ko
DSLR Camera kaise banaye ?
Agar aapko apne phone me DSLR ki tarah
photo click karna hai to aapko DSLR Camera Pro app apne phone me install
karna hoga iski help se aap easily high Quality photos capture kar sakte ho.
Is app ko use karne ka tarika janane ke liye
niche diye link par click kare.
14. Android Tips – Kisi Number par 5
Sec. me 100 Miss call kaise kare ?
Dosto ye ek prank trick hai iski help se aap
apne friends ke sath prank kar sakte ho. Kisi friend ke Number par 5 sec. me
100 miss call karne ke liye aapko apne phone me Tak Zang App install karna hoga.
Jab aap is app ka use karke itne sare miss
call ek sath karoge to aapka friend shocked rah jayega.
Is trick ko detail me padhne ke liye niche
diye link par click kare.
15. Android Tips – Android Phone ko
computer kaise banaye ?
Dosto is trick ka use karke aap apne
phone ko computer ki tarah bana sakte ho iske liye aapko window
launcher App apne phone me install karna hoga uske baad aapke phone ki
screen or system bilkul computer desktop ki tarah dikhayi dega.
Is trick ke bare me jyada jankari ke liye
niche diye link par click kare.
Last Words For You
Is post me ham ne Top 15 Android Tips and Tricks ke bare me bataya hai agar aapko ye post pasand aaya ho to isko apne social media Friends ke sath bhi share kare taki unhe bhi iske bare me jankari mil sake.
Agar aap ham se koi Question puchna chahte hai
to comment karke jarur bataye ham aapki puri help karenge.
Hamare blog ki New Latest posts
padhne ke liye Apne Email se hamare Newsletter ko subscribe kare ya fir hamare
Facebook page ko Like kare.
0 comments:
Post a Comment